shehad ko sehat ke liye bohat ziyada mufeed qarar diya jata hai .
shehad mein shukar, protein, namiati acids aur deegar murakabat ka aisa paicheeda imtezaaj hota hai jo sehat ke liye mufeed saabit hota hai .
khansi ki rokkk thaam samait mutadid amraaz se tahaffuz ke liye shehad behtareen hota hai
cholesterol, sodium aur chiknai se pak shehad ko aksar cheeni ka sehat mand mutabadil bhi qarar diya jata hai .
magar khalis shehad ka husool aasaan nahi hota kyunkay milawat shuda shehad bhi bazaar mein aam milta hai .
magar achi baat yeh hai ke chand aam tareeqon se aap asli shehad ki shanakht kar satke hain .
angothay se jaanch partaal karen
shehad ki mamooli miqdaar ko angothay par lagayen aur dekhen ke kya woh pani ya deegar seyal ke terhan neechay tapakta hai .
agar woh neechay tapakta hai to phir woh asli shehad nahi, kyunkay gaarha honay ke baais is ke neechay tapaknay ka imkaan bohat kam hota hai .
pani se madad len
aik glass pani mein aik chamach shehad daal den .
agar shehad pani mein ghul jata hai to woh milawat shuda hoga .
khalis shehad bohat gaarha hota hai aur woh pani mein ghulne ki bajaye glass ki teh mein chala jata hai .
sirka
sirkay ke pani mein shehad ki mamooli miqdaar ko mix karen .
agar mixture mein jhaag ban jaye to is ka matlab yeh hai ke shehad asli nahi .
teeli se جانچیں
maachis ki aik teeli ko shehad mein duubo kar jalayen, agar woh jal jaye to is ka matlab hai ke shehad khalis hai .
garam karkay dekhen
agar shehad garam honay par jhaag daar ho jaye to is ka matlab yeh hai ke woh milawat shuda hai .