Taaza survey mein inkishaaf kya gaya hai ke Pakistan mein dastyab 92 feesad khula doodh bunyadi miyaar par poora nahi utartaa .
university of vitrine and animal sciences ke zair e ihtimaam khulay doodh ke miyaar aur tahaffuz ke baray mein kiye gaye malik geer survey se pata chala ke 92 feesad khula doodh ghair mayaari hai .
survey ke nataij ke elaan ke liye Lahore mein munaqidah aik khusoosi taqreeb ke douran bataya gaya ke survey ke adaad o shumaar ke mutabiq malik mein 54 feesad khulay doodh ke namoonay insani istemaal ke liye ghair mozoon hain .
survey ke liye aalmi idaray nelson ne malik ke 11 barray shehron se namoonay haasil kiye, sardiyoon aur garmiyon ke mousamoo mein khulay doodh ke 1206 namoonay haasil kiye gaye thay .